Google adsense Inline Ads Kya Hai Kaise Use Kare
Abhi 2 din pahle hi google adsense ne Inline Ads ka format launch kiya hai jo publishers ke liye bahut hi useful hai. Ish se aap ko bar bar ads lgane ki jarurat nhi hogi. Adsense earning badhane mein sahayak hai.
What is Inline ads ?
Jaisa ki hum sabhi jante hai har new blogger ka yahi dream hota hai ke wo Adsense se jyada se jyada paise kmaye lekin adsense ke rules ko follow na karne ki wajah se har blogger adsense se jyada paise nhi kama pata hai jiska ek reason ye bhi hai ke har blogger adsense se update nhi rhta aur wo new optimization tips ko jaane bina hi blogging karta rhta hai. Yaha par mai aap sabhi se khna chahunga ke aap adsense se up to date rahe taki aap ko revenue badhane ke aur opportunities milti rahe aur aap ushi ki hisaab se apne blog/website mein pahle se embedded ads mein badlav kare aur new opportunities ke hisab se ads placement kare.
Aaj ki ish post mein mai aap ko adsense ki inline ads ke bare mein bta rha hu jo 320×100 size ki ad unit hai. Ishki main khasiyat ye hai ke jab aap ek bar apne blog mein adsense inline ad embed kar doge ushke baad jab koi visitor aap ki site par visit karega to scroll down karne par ads automatically embed hote jayenge. Kahne ka matlab ye hai ki aap ko 1 page mein bar bar ads lagane ki jarurat nhi hogi, inline ads se automatic ads lgte jayenge.
![]() |
| [source : adsense.googleblog.com] |
Jab aap apne web pages mein adsense inline ads ka use karte ho to aap ke ads limitation mein inline ad count nhi kiye jayenge.
Adsense Inline ads blog mein kaise lgaye ?
Apne blog/website mein inline ads ko lgane ke liye pahle aap ko apne blog mein page level adsense ads lgane honge ushke baad hi aap inline ads ko apne blog mein laga sakoge. So pahle aap page level ads ko check kare aur phir aap below rules & tips ko follow kare.
□ Aap ki blog ki RPM rate high honi chahiye tabhi aap ishka use kar sakte ho.
□ Aap ki site page views average hone chahiye.
□ Adsense ne jo 3 ads ki limitation publishers ke liye nischit kar rakhi hai ushmein inline ads ko count nhi kiya jayega.
Also Read > Google adsense automatic experiment kya hai
Also Read > Adsense ads ko mobile template mein show kaise kare
Also Read > Adsense Account Block Hone Ka secret reason
So dosto aap ne ye to jaan hi liya ke inline ads kya hai aur hum ish ka kis prakar use kar sakte hai. Ab aap inline ads ko lgane ke bare mein janenge.
Inline ads Page level ads ki community se hi belong karte hai so agar aap apne blog mein inline ads show karna chahte ho to aap ko page level ad use karna hoga ushke baad inline ads automatically aap ke web pages mein show hone lag jayega. Yaha par mai aap ko bta dena chahta hu ke google ne inline ads ke bare mein jo jankari share ki hai wahi mai aap ko bta rha hu aur maine page level ads ka use kiya hai aur filhal mere blog mein page level ads embedded nhi hai because recently maine template change kiya jiski wajah se maine abhi page level ads ko blog se remove kiya hua hai, lekin mai page level ads ko apne blog mein laga kar phir aap ko inline ads ke bare aur guide karunga, so aap BLOGTIPSHUB ke sath jude rahe aur inline ads ke bare mein behtar janakari lene ki liye blog ko bookmark kar le.
Note > Aap ish post chrome browser ya firefox mein open kare kyu ke maine yaha par gif image ka use kiya hai jis se aap ko inline ads ko samjane mein aasani hogi.


No comments:
Write comments