Search This Blog

Powered by Blogger.

Popular Posts

Friday, 14 October 2016

20KG Weight Loss Tips In Hindi, Wajan Ghataye 30 Dino Mein

Weight loss tips in hindi



Weight loss tips in hindi

India aur duniya bhar mein motapa yaani weight ki samsya aam baat hai gayi hai. Lakho log motape ki wajah se presan hai aur unki presani bhi jayaj hai kyu ke agar weight jyada hai to aap ko tarah tarah ki bimariya gher leti hai jaise  thoda sa chalne par sans phoolna, diabetes aur bhi bahut kuchh. Aap yun samaj lijiye ke har bimari motape se hi suru hoti hai. Samay rahte agar aap weight loss karne ke tips nahi aajmate hai to aage chal kar aap ka weight loss hona muskil ho jata hai aur phir surgery se charbi ko bahar nikal jata hai jo kafi kharchila bhi hai aur aam aadmi ke liye ye bs ki baat nhi hai. Ishi dhyan mein rakhte huye maime ek aise insan se sampark kiya jinko mai pahle se janta tha lekin weight loss ko lekar unse baat ki. Unka weight pahle 150KG tha aur baad mein dhire dhire unhone weight reduce kar liya aur wo sirf 3 mahine. Maine jab weight loss tips janne chahe to unhone bahit hi simple weight reducing tips btaye jo muje kaafi achhe lage aur wahi weight loss tips mai aap ko btana chahunga jo bahut hi simple aur aap aasaani se apna weight reduce kar sakte hai.


Weight loss karne ki 8 tips in hindi

Weight ko kam karne ke liye aap in 8 weight loss tips ko apnaye aur apna wajan 20KG tak kam kare.

1. Kam calories ka aahar le

Normal insan ke sarir ko jitni calories ki jarurat hoti hai aap ush mein kami kar ke apna weight loss kar sakte ho. NHS ke anusar normally, 1400 calories ek din mein mahilaao ke liye, 1900 calories purusho ke liye ek din mein, nirdharit ki gayi hai. 
Agar aap apna weight loss karna chahte hai to din bhar mein aap jitni calories lete hai ushmein kami kare. Ishke liye aap hlka pulka khana khaaye.


2. Fitness tracker ka use kare.

Wright reduce karne mein fitness tracker aap ki kaafi help kar sakta hai. Fitness tracker ki madad se aap aasani se apne aap ko fit rahne ke liye force karnge. 
Fitness tracker se aap apni fitness ke liye jagruk rahenge sath aap ko pta chalta rahega hi aap kitne fit hai aur aap kahi over weight to nahi huye hai. So weight ko maintain rakhne liye aap ko fitness gadgets ka use jarur karna chahiye. Waise ye gadgets aap ko market mein aasani se mil jaate hai. So why you getting late hurry up to biy a fitness tracker to track your daily fitness. (Weight loss tips in hindi)

3. Food diary

Aap dinbhar mein kitni baar khana khate ho ? Amuman aam insan 3 time hi khana khata hai aur 3 time khana khaane wale, 4-5 time khana khaane waale se jyada fit aur active rahte hai. So agar aap apne weight ko reduce karna chahte hai to aap ko ek food diary ki aadat daal leni chahiye aur ish mein aap daily likhe ki ek din mein aap ne kaha kaha aur kitna food khaya. Jab aap raat ko soye to diary ko padhe ki aap ko kitne food ki jarurat thi aur aap ne jarurat se kitna jyada khana khaya.

Apne daily routine ko maintain rakhne ke liye aur apna weight loss karne ke liye food diary aap ko har tarah se help karegi. Maan lijiye aap har din 4-5 time khana khaate ho aur saam ko diary check karoge to aap ko pta lagega ki aap ne kitna over eat kiya hai. Aur phir next day aap ishko kam kare. Jab bhi khane bina time ke khana khane ka man kare to aap juice ka use kare jo ko bahut hi health ki liye bahut hi achha hota hai khane ke mukable mein aap ko behtar hota hai. So food diary se aap apna weight reduce karne ke liye sajag rahte hai.

4. Make healthy food swaps

Weight reduce karne ke liye aap ko khane peene ki chijo mein badlav karna hoga jis se aap ko pta lagega ki konsi chij jyada calories provide karti hai. So fod swaps kare aur weight reduce kare.

5. Weekley food plan menu bnaye

Aap rk week mein kitna khaate hai ishko menu list kare. Weekley food plan menu aap ko weight loss karne mein bahut hi help kar sakta hai aap week to week food plan menu mein changes kare aur jo food plan menu aap ne ish week follow kiya hai ushko track kar next week liye menu bnaye. Ab week food plan menu ko weight loss ke according compare kare aur jis week mein weight reduce hua wahi plan select kare. Ye weight loss tips aap ko bahut help karegi.


7.choose foods that are more filling 

Wright loss mein sab se important chij hai aap khane se jyada peene par dhyan de. Aise food ka chunav kare jinmein calories kam ho aur aap ko filling feel ho. 

8 Halka khana khaye

Halka khana yaani aap aise foods ko menulise kare jo heavy na ho example ke liye aap rice ko as a food use kare. Rice aur Daal ka pryog kare jo ki more filling food hai. Chicken aur matan khane se parhez kare kyu ke ye jyada calories waale foods category mein aate hai.

9. Exercise 

Weight loss karne ke liye aap ko exercise jarur karni chahiye. Exercise karne se pahle aap fresh ho jaaye aur phir ek glas paani piye ushke baad normal walk kare aur apne aaap ko trotaza kare. Exercise ke liye aap ko starting mein thodi dikkat hogi lekin baad mein ishe apne daily routine ka hisaa bna le aur niymit exercise kare.

10. YOGA Kare

Yoga ke faayde kon nahi jaanta, aaj puri duniya bharat ke diye huye ish Anmol vardaan ko apna rahi hai aur health benefits le rahi hai. So aap ko agar weight loss karna gai to weight loss karme waali yoga tips ko apnaaye ishke liye aap youtube par yoga se related bahut se videos aap ko mil jaayenge unko dekh kar seekhe aur follow kare. Ish se aap ka weight kaafi had tak reduce hoga.

11.Morning workout kare.

Ek busy person ke morning workout karna aasaan nahi hai lekin aap health ko lekar chintit hai to aap morning mein jaldi uth kar workout karna. Agar aap har toj aisa nahi kar sakte to aap weekend play bna kar aisa kar sakte. Aur hafte mein 2 ya 3 baar hard work jarur kare.

So guyz if you're one of them who want to loss their weight in just few weeks, follow above tips. Yaha jo tips maine btaye wo experience weight loss tips hai. So I suggest you that aap bhi in tips ko follow kar apna weight 20 KG tak loss kar sakte.

No comments:
Write comments